Insan ka apne Dushman s inteqam
ka sb sy acha tariqa ye he k wo apni khubiyon me izafa kre 'Hazrat Ali (a.s)
1-Wo gunah jis ka tumhein ranj ho, Allah k nazdeeq us nayki se behtar hai jis se tum main ghuroor paida ho jaye". ( Hazrat ALI a.s ) ----------- 2-Kisi ne Hazrat ALI a.s se poocha: "Dost aur bhai main kya farq hai?" Aap ne farmaya: "Bhai sona hai aur dost heera hai." Us aadmi ne kaha: "Aap ne bhai ko kam qeemat aur dost ko qeemti cheez se kyun tashbeeh di?" To aap ne farmaya: "Sone main agar darar aa jaye to us ko pighla kar bilkul pehlay jaisa banaya ja sakta hai. Jab ke heeray main aik darar aa jai to wo kabhi bhi pehlay jaisa nahi ban sakta.' ----------- 3-Ager kisi ka zaraf azmana ho to usko ziada izat do Wo ala zaraf hoa to ap ko or izat day ga or kam zaraf hoa to khud ko AALA ZARAF sumjhey ga ( Hazrat ALI a.s ) ----------- 4-Hazrat ALI a.s Ka Frman Hy:- "Bura Dost Aag Ki Manind Hy" "Agr Jalta Hoga To Apko Jala Dega" "Or Agr Bujha Hoga To Ap K Hath Kale Kr Dega" ----------- 5-Aazmaye Hue Ko Azmana Bewakufi He. ( Hazrat ALI a.s ) Logon Ki Zaroraton Ka Tum Se Wabasta Hona Tum Per ALLAH Ki Enyat Hai. (Imam Hussain a.s) ---------------------- 8-Hazrat ALI a.s ne eid k din ro ro k bura haal kar liya.Naye kapre na pehne aur sookhi roti khane lagey. Kisi ne poocha k aaj to EID hai aap ne koi tayyari nahi ki. Aap ne farmaya k eid to unki hai jinko ALLAH SUBHAN-A-HU-WA TAALA ne muaf kar dia ----------- 9-Hazrat ALI a.s Says Apne Dushman Ko 1000 Dafa Moqa Do K Wo Tumhara Dost Ban Jaaye Per Apne Dost Ko 1 Bhi Moqa Na Do K Wo Tumhara Dushman Banay ----------- 10-Jub meri DUA kabol ho tu mein khush hota houn k is main meri marzi hai aur Jub kabol na ho tu mein aur khus hota houn k ye ALLAh ki marzi hai ( Hazrat ALI a.s ) ----------- 11-IKHTIYAR, TAAQAT aur DOULAT aisi cheezain hain jin k milnay say log badaltay nahin BAYNAQAB hotay hain( Hazrat ALI a.s ) ----------- 12-Agar tum kisi ko chota dekh rahe ho, to tum use door se dekh rahe ho, Ya phir gharoor se dekh rahe ho ( Hazrat ALI a.s ) ----------- Ghareeb wo hai jis ka koi dost na ho. [HAZRAT ALI (a.s) ----------- sab se bara gunah wo he jo karne walay ki nazar me chota ho ( Hazrat ALI a.s ) ----------- 15-Mujhe Jannat se ziada Masjid mein bethna Acha Lagta hai kyunke Jannat mein mera NAFS khush ho ga jab ke Masjid mein mera RAB khush ho ga. Fermaan Hazrat ALI a.s ----------- 16-Main Jannat K Shouq Main ebadat Nahe Kerta, K Ye Ebadat Nahe Tijarat Hay Main Dozakh K Khoof Say Ebadat Nahe Kerta, K ye Ebadat Nahe.Ghulami Hai.. Main Ebadat Sirf Is Liye Kerta hon... K Mera RuB ebadat K LayeQ Hai...... ( Hazrat ALI a.s ) ----------- 17- Aik Shakhs Ne Hazrat ALI a.s Sey Poocha, Q: Qarib Kya Hai? A: Qyamat Q: Or Qareeb Ter? A: Maut Q: Ajeeb Kya HAi? A: Duniya Q: Aur Ajeeb Tar? A: Talib-e-Duniya Q: Wajib Kya Hai? A; Toba Q: Or Wajib Tar? A: Gunah K Forun Bad Toba Q: Mushkil Kya Hai? A: Qaber Mein Utrna Q: Or Mushkil Tar? A: Amal K Bagair Utrna ----------- 18-Apni zuban ki tezi us per mat azmao jis ne tumhen bolna sekhaya ( Hazrat ALI a.s ) ----------- 19-"Sub se Ziyada Kamzor AADMI wo he Jo DOST ko HAASIL karne me Naakaam ho,Aur us se bhi Ziyada Kamzor Wo he Jo Haath aai howe DOST ko ganwa de"( Hazrat ALI a.s ) ----------- 20- "2 cheezein saari zindagi kaam ayengi, 1 = Ghussay ki halat mein koi faisla mat karo! 2 = Khushi ki haalat mein koi wada mat kro! ( Hazrat ALI a.s ) ----------- 21-Insaan Bhi kitna Ajeeb Hy, Jab kisi Cheez se Darta Hy to Us se Dour Bhagta Hy. Jab ALLAH Sy Darta Hy to Us k Or Qreeb Ho Jata Hy. ( Hazrat ALI a.s ) ----------- 22-Dunya Daron ki Sohbat ikhtyar Na karo Q K Agar tu Tang-dast huwa to ye tujhe Chorh Denge Or agar to Dolat-mand huwa to Tujh se Hasad karen gay.( Hazrat ALI a.s ) ----------- 23- Acha Dost Kitni Dafa Hi Kiyon Na Ruth Jaye Usay Mana Lena Chahiye! Kiyon K Tasbi K Daney Kitni Dafa Hi Kiyon Na Bikhrein Chun Liye Jate Hain!( Hazrat ALI a.s ) ----------- 24- "Yeh na socho k ALLAH dua foran qabool kyun nahi karta, yeh shukar karo k ALLAH hamaray gunaahon ki saza foran nahi deta.." ( Hazrat ALI a.s ) ----------- 25-4 Batain Elim Ka NIchour Hain, 1.) ALlah Ki Itni Ebadat Karo Jitni Tumhain ALLAH Ki Zaroret Hay. 2.) ALlah Ki Nafermani Itni Karo Jitna Allah K Azaab Per Saber Ker Saktey Ho.. 3.) Dunya K Liye Itna Amal KAro Jitna K Tumhain Dunya Mian Rehna Hai,, 4.) Aakhrat K Liye Itna AMal Karo Jitna K Tmhain Wahan Rehna Hain....!!! ( Hazrat ALI a.s ) 26-Buaree main kisi ka sath dena Ghatiyapan aur khuda ky sath badiyanti hay.( Hazrat ALI a.s ) ------------ 27-kisi ki madad kartay waqt us k chehray ki janib mat daikho, ho sakta hay us ki sharminda ankhain tumharay dil main gharur ka beej bo dain.( Hazrat ALI a.s ) ------------ 28-"Golden Words" "Her INSAN ki izat aur uss sy mohabat kro,Kion k her INSAN k ander KHUDA ki koi na koi sift zror mojood hoti hai" ( Hazrat ALI a.s ) ------------ 29-"Ebadat esi kro jis se tumhari ROH ko maza aey Q k jo Ebadat dunya mai maza na de wo Akhrat mai kia jAZAH degi"... .( Hazrat ALI a.s ) ------------ 30-Barish ka Qtra Seep or Saanp 2non k Munh mein Girta hai Lekin SEEP usay MOTI Aur Saanp usay Zehr bna deta hai jis ka jesa Zarf wesi uski Takhliq ( Hazrat ALI a.s ) ------------ 31-Tum acha karo aur zamzna tum ko bura samjhe ye tumaray haq main behtar he Bajaye es k tum bura karo aur zamana tum ko acha samjhe ( Hazrat ALI a.s ) ------------ 32-Jahan Sadaaqat Or Khuloos Nazar Aaye Wahaan Dosti Ka Hath Barhao Warna Tumhari TANHAEE Tumhari Behtreen Saathi Hai. ( Hazrat ALI a.s ) ------------ 33-Bay shak dunya or akhrat ki misal asay ha jasay 1 shaks ki 2 b v ian hon 1 ko razi karta ha to dosri roth jati ha HAZRAT ALI(a.s) ------------------------ 36-naikon ki suhbat ikhtiar karo nek ban jao gai, buron ki suhbat se parhaiz karo badi se dor ho jao gai.(Hazrat Ali a.s) ------------ 39-"3 kaam kisi k dil main ap ki izat barhatay hain: 1- Salam karna. 2- Kisi ko jagah dena. 3- ASAL NAM SE PUKARNA." (HAZRAT ALI a.s) ------------ 41-Achi zindagi guzar ny k 2 tareeky hain. ¤ Jo pasand hain usay hasil kr lo ya Phr ¤ Jo hasil hain usay pasand kr lo. (HAZRAT ALI a.s) ------------ 42-3 Insan 3 chezon se mehroom rahenge 1.Ghusay wala Durust faisly se 2.Jhoota Izzat se 3.Jald baaz Kamyabi se. (Hazrat Ali a.s) ------------ 45-Allah k nazdek sab say ziada gunah gar chez jhoot bolnay wali zuban he. (Hazrat Ali a.s) ------------ 46-GHULAB KA PHOL BNO!KYUNK YEH PHOL US K HATH ME BHI KHUSHBO CHOR DAITA HAI JO ISEY MASAL KAR PHAINK DAITA HAI."HAZRAT ALI A.S" ------------------------ 49-Agr Tm Usy Na Pa Sako Jise Tm Chahte Ho,Tu Usy Zror Pa Lena Jo Tmhe Chahta Hy QK Chahne Se, Chahe Jane Ka Ehsas Ziada Khubsurat Hota Hy. HAZRAT ALI (a.s) ------------ |
50
- Home
- EIDON KI EID 3
- TABLIGI JAMA'T KA FAREB
- TAHIRUL PADRI
- JADI BOOTI
- LINK & QUADRI RAZVI TALWAR
- ZAOROORI MASA IL
- MASLAKE A'LA HAZRAT
- IMAN NAMA
- IMAN KI PAHCHAN OR ANMOL AQWAL
- MUHABBATE IMAM HUSAIN
- URDU BOOKS & HAMRI BOOKS (KITABEN)
- TAQUAREER AHLE SUUNAT
- NA'T SHAREEF
- HAMRI NET PAR DALI HUI BOOKS (KITABE) IN HINDI
- CHALIS HADEES SHAREEF
- ALL INDIA NAMAZ TIME TABLE ULMA E AHLE SUNNAT KE NUMBAR ALL INDIA
- MAZARAT
- DEENI MALOOMAT URDU & AUDIO
- HAMDARD UNANU IMRAZ WA ILAJ
- URDU NEWS & HINDI NEWS
Tuesday, 29 October 2013
AQWAL ZARREEN
ABDURRAHEEM KHAN QUADRI JAMDA SHAHI BASTI UP 272002
UP- 7860762579 khanjamdashahi@gmail.com
MP-07415066579-7860762579
जमदा शाही ज़िला बस्ती उत्तर प्रदेश इंडिया
अहमदी जामा मस्जिद लहाड़पूर ज़िला खंडवा एम पी नियर खिरकिया रेलवे स्टेशन
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment